Thursday, 6 December 2012
ab ke us ki ankhon mien
ab ke us ki ankhon mien
besabab udaasi thi
abh ke us ke chehray per
dukh tha...behawasi thi
abh ke yun mila mujh se
yun ghazal suni...jese
mein bhi na_shanasa hoon
wo bhi ajnabi jesse
zard khaal o khad uss ke
sogawar daman tha
abh ke uss ke lahjay mein
kitna khudra pan tha
wo ke umer bhar jis ne
shahr bhar ke loogon mien
mujh ko hum sukhan jana
khud se mehrban samjha
mujh ko "Dilruba" likha
abh ke sada kaghaz per
surkh roshnai se
us ne talkh lahjay mein
mere naam se pehle!
sirf "Bewafa" likha
Chalo ye raat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ye raat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ke aj ham dukh dard suntay hain,
Bhataktay ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamatan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehtay ho hazaron dard sehtay ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor suntay hain,
Chalo acha yon kartay hain,
Suno tum ham sunatay hain,
Ham apnay dil k har ik zakhm se parda uthatay hain,
Dikhatay hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti ja rahi hay zindagi mere,
Taraptay hain sulagtay hain magar khamosh rehtay hain,
Chalo ye rat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ki aj ham tanhaiyan banten~!!
Subscribe to:
Posts (Atom)
-
In Hindi Teri aankhon ki namkeen mastiyan Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan Nahi bhoolu...
-
Itni shidat se chaho to pathar b jawab dete hain najane ye fani insaan itna anna parast kiyon hai