Showing posts with label Love Poetry. Show all posts
Showing posts with label Love Poetry. Show all posts

Thursday, 6 December 2012

Saza ban jati ha guzrey howe waqt ki Yaadain,,,

Saza ban jati ha guzrey howe waqt ki Yaadain,,,
,,
Na jane Kun Chor jane k lye, Zindgi main aatey han l0G .

ab ke us ki ankhon mien

ab ke us ki ankhon mien
besabab udaasi thi
abh ke us ke chehray per
dukh tha...behawasi thi
abh ke yun mila mujh se


yun ghazal suni...jese
mein bhi na_shanasa hoon
wo bhi ajnabi jesse
zard khaal o khad uss ke
sogawar daman tha
abh ke uss ke lahjay mein
kitna khudra pan tha
wo ke umer bhar jis ne
shahr bhar ke loogon mien
mujh ko hum sukhan jana
khud se mehrban samjha
mujh ko "Dilruba" likha
abh ke sada kaghaz per
surkh roshnai se
us ne talkh lahjay mein
mere naam se pehle!
sirf "Bewafa" likha


Tarap Rahi Hai Eik Tammana


Tarap Rahi Hai Eik Tammana ,
,
Na TuM Se MilTe Na Aisa HotA,,

Chalo ye raat ham ik dosray ke naam kartay hain,


Chalo ye raat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ke aj ham dukh dard suntay hain,
Bhataktay ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamatan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehtay ho hazaron dard sehtay ho,


tumhari dharkanon men ik ajab sa shor suntay hain,
Chalo acha yon kartay hain,
Suno tum ham sunatay hain,
Ham apnay dil k har ik zakhm se parda uthatay hain,
Dikhatay hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti ja rahi hay zindagi mere,
Taraptay hain sulagtay hain magar khamosh rehtay hain,
Chalo ye rat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ki aj ham tanhaiyan banten~!!

Sunday, 11 November 2012

Bus Ek Tamanna Rakhtey Hain Hum Apney Dil Mai


Bus Ek Tamanna Rakhtey Hain Hum Apney Dil Mai
Mohabbat Sey Bat Karo.. Chahey Barbaad Kar Dou


Wednesday, 7 November 2012

Bella Swan



When life offers you a dream so far beyond any of your expectations, it’s not reasonable to grieve when it comes to an end.
Bella Swan,


Tuesday, 6 November 2012

Kaha Mene Ke Kab Ye Zindagii Khusboo Lagi Tumko


Kaha Mene Ke Kab Ye Zindagii Khusboo Lagi Tumko  
Wo Be Khayalii Mein Bola Jab Tujhe Choo Liya Mene .

KucH NahiN MiltA JitnI WafA KarlO KisI SaY


KucH NahiN MiltA JitnI 
WafA KarlO KisI SaY....!!!

JaB WaqT WafA Na KarE
To WaafadaR BhI BewafA HojatE HaI.....!!!!!!

Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana,


Meri kismat ke har ek panne pe
Mere jeete ji baad marne ke
Mere har ik kal har ik lamhe me
Tu likh de mera usey
Har kahaani me saare qisson me
Dil ki duniya ke sacche rishton me
Zindagani ke saare hisso mein
Tu likh de mera usey
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana

Uska hoon uss me hoon uss se hoon
Usi ka rehne de
Main toh pyaasa hoon hai
Dariya woh zariya woh jeene ka mere
Mujhe ghar de gali de shehar de
Usi ke naam ke
Kadam ye chale ya ruke ab usi ke vaaste
Dil mujhe de agar dard de uska par
Uski ho woh hasin goonje jo mera ghar
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana

Mere hisse ki khushi ko hansi ko
Tu chaahe aadha kar
Chahe lele tu meri zindagi par
Ye mujhse vaada kar
Uske ashqon pe ghamon pe dukhon pe
Har uske zakhm par
Haq mera hi rahe har jagah har ghadi haan umr bhar
Ab faqat ho yahi woh rahe mujh me hi
Woh juda kehne ko bichhde na par kabhi
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana

Meri kismat ke har ek panne pe
Mere jeete ji baad marne ke
Mere har ik kal, har ik lamhe me
Tu likh de mera usey
Aye Khuda Aye khuda
Aye Khuda Aye khuda

Abhi abhi toh mile ho Abhi naa karo chhootne ki baat Abhi abhi toh pasand aaye ho Abhi abhi roothne ki baat!



Abhi abhi toh mile ho
Abhi naa karo chhootne ki baat
Abhi abhi toh pasand aaye ho
Abhi abhi roothne ki baat!

Abhi abhi toh roshni aayi
Abhi naa karo munh chhupane ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai...
Abhi abhi tham jane ki baat!

Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare [x2]

Teri baazuon mein meri chahatein samaaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khwahisho se meri khwahishein riha hain
Teri karwaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon humnawa...

Abhi abhi dil ki suni hai
Abhi na karo zamaane ki baat!
Abhi abhi baatein ruki hain
Abhi abhi dohraane ki baat!

Abhi abhi aawaaragi aayi
Abhi na karo sambhalne ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jane ki baat!

Woh subah toh, bewajah ho
Ke Guzre bin tumhare jiski raat [x2]

Teri baazuon mein meri chahatein samaaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khwahisho se meri khwahishein riha hain
Teri karwaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon humnawa...

Hum toh haare mahiya re
Moondein naina neend tihaare

Teri aankhon ki namkeen mastiyan Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan Nahi bhoolunga main Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan


In Hindi


Teri aankhon ki namkeen mastiyan
Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan
Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan


Tera haath se haath chhodna
Tera saayon se rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan



Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat baat pe bewajah tere roothne se
Chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..



Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khwabon se
Teri be-raham duaaon se
Nafrat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan


Translation to English


Saline mischief in your eyes,
Small insolences,
Laughing in your smile,
Waves of dusk unfurled in your hair,
I will not forget you,
Not untill I cease to breathe,
Not untill I cease to live


You took your hand away,
You turned your shadow face pale,
You never glanced this way
You, I will not forgive
Not untill I cease to breathe
Not untill I cease to live

Surkh wala, sauz wala, Faiz wala love Hota hai jo love se jyada waise wala love Ishq wala love



Surkh wala, sauz wala, Faiz wala love
Hota hai jo love se jyada waise wala love
Ishq wala love

Hua jo dard bhi toh humko aaj kuch zyada hua
Ishq wala love
Ye kya hua hai kya khabar yehi pata hai zyada hua
Ishq wala love
Agar ye usko bhi hua hai phir bhi mujhko zyada hua
Ishq wala love

Meri neend jaise pehli baar tooti hai
Aankhein band kar ke dekhi hai maine subah
Hui dhoop zyada leke teri roshni din chadha
Ishq wala love

Jhanke badalon ki jaali ke peechhe se
Kare chandani ye mujhko ittala
Leke noor sara chand mera yahin pe hai chhupa chhupa hua
Ishq wala love

Hua jo dard bhi toh humko aaj kuch zyada hua
Ishq wala love
Ye kya hua hai kya khabar yehi pata hai zyada hua
Ishq wala love
Agar ye usko bhi hua hai phir bhi mujhko zyada hua
Ishq wala love

Jo aise hota
Jo milte tum ho jaate gum sath mere
Hote hote hoga samjhaye hum tham jaaye tum
O dil mere
Toota zyada zyada tara jab gira 
Zara zyada zyada maangu dil tera
Kabhi zyada zyada maane na dil ye sarphira
Ishq wala love

Bada ye dil nadaan tha, par aaj kuch zyada hua
Ishq wala love
Jo khine ka tha dar tujhe pata nahi kyu zyada hua
Ishq wala love

Hua jo dard bhi toh humko aaj kuch zyada hua
Ishq wala love
Ye kya hua hai kya khabar yehi pata hai zyada hua
Ishq wala love
Agar ye usko bhi hua hai phir bhi mujhko zyada hua
Ishq wala love

Surkh wala, sauz wala, Faiz wala love
Hote hai jo love se jyada waise wala love
Ishq wala love